Sunday 4 June 2017

Fir se....


Fir se mujhe udna sikha do,
Fir se mujhe daudna sikha do
Bachpan ke wo din yaad ate hai,
Jab na koi fikra thi, na koi dwesh tha
Saamne sirf dur anant tha,
Udne k liye asman tha aur tairne ke liye samundar
Geeli ret pe bhi furti se bhaag jaata tha,
Bina ye soche ki mere kadmo ke nishan shayad lehre mita rahi hai
Piche mud ke ek nazar dekhne ki jarurat na thi,
Pata tha piche maa, utsah aur chinta ko sath liye daud rahi hai
Thandi hawa ke jhoke chehre ki thakaan ko poch rahe the,
Aur thanda pani pairon ki garmi ko bhigo raha tha
Na thakne wale junoon k sath main daudta chala gaya,
Yahi sochte hue ki gir bhi gaye to sambhalne ke liye koi piche hai
Par daudte hue itne aage aa gaya,
Ki piche mud ke dekhna bhul gaya
Ab na to wo samundar hai na hi wo hawa,
Na koi sambhalne wala, na koi pakadne wala
Ab paanv ke nishan mitate nahi hai,
Magar ab unhe dekhne wala bhi koi nahi hai
Mere taaze pankhon ne bahut duri tay ki hai,
Magar maa ke budhe pankh itna na ud paye
Zindagi ki lehron ke thapedo ne bahut kuch sikha diya,
Do kadam ruk ke saans lena sikha diya
Shikhar par pahuch kar insaan akela hi rehta hai,
Asli maza to sath chadhne ka hai
Ret pe chhode gaye nishan mitane ke liye bante hai,
Dil pe chapne wale nishan sada ke liye bante hai
Aaj bhi bas yahi dua karta hu,
Kisi tarah samay ko piche mod du
Fir se us ret pe chalu, fir se us hawa ko mehsus karu,
Pas is baar ma aka haath na chhodu
Mujhe un kadmo ke nishan se koi moh nahi hai,
Bas aapke sath fir se kadam mila kar chalna hai
Ab pankh to hai magar udane ka man nahi karta,
Na jaane kyu us gili ret pe bhi jane ka man nahi karta
Dur kahi kone mein baitha rehta hu aksar,
Yahi sochta rehta hu, ki kya soch raha hu main
Par fir khud hi kuch der mein uth ke khada ho jata hu,
Yahi soch ke, ki upar se jab wo dekhti hongi,
To yahi kehti hongi ki meri udaan tu bharega
Ab bas yahi man mein liye aage badhta hu,
Ki maa ke sapne kabhi to pura kar saku
Unke diye hue pankho se udta hu ab,
Unki dikhaye hue rah par kuch kadam chalta hu ab
Fir se udta hu ab ek sathi ke sath,
Fir se daudta hu ab ek sathi ke sath